Wednesday, July 3, 2013
Aaj Bhi - Poem from My Heart
Aaj bhi Tumse pyaar kartee hoon main
Na tumse ab koyi ummeed hai zindagi ki
Na tumse ab khwahish hai kisi khushi ki
Par jab tumhare aankhon mein aansoon ho , to unhe pee lene ka man karta hai
Tumhare sare dukh lekar tumhe duniya ki saari khushi dene ka man karta hai
Kya hai humara rishta, ki aaj bhi tumse pyaar kartee hoon main
Ek woh din tha, jab tumhare pyaar bhare khat padhkar aasman mein udtee thi main
Tumhare awaaz ko sunkar saawan ke baharon mein phool ki tarah khiltee thi main
Ek woh din tha, jab tumhare berukhepan par, apne aap se hi rooth gayee thi main
Aur aaj ka yeh din hai, ki duniya ki har ranjish se ladsaktee hoon main
Par tumharee udaasi se muh nahee mod saktee hoon main
Naa jaane kyon aaj bhi , tumse pyar kartee hoon main
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment